Friday, June 7, 2013

manzile

Kyo manzile milti nahi hai..
jab raah pe main chalne lagta hu..
kyo mahfeele sajti nahi hai..
Jab sharabi main ban-ne lagta hu..
.
.
Kyo aag bhi lagti nahi hai..
Jab dil ko main jalane lagta hu..
Kyo mout bhi milti nahi hai..
Jab rooh ko maiin satane lagta hu..
.
.
Kyo sath bhi milta nahi hai..
Jab pyaar main karne lagta hoon..
Kyo aansoo bhi milte nahi hai...
Jab aankh main bharne lagta hu..
.
.
Kyo aati hai uski yaaden..
Jab usko main bhulane lagta hoon..
Kyo toot jata hai mera dil..
Jab usko kisi se milane lagta hoon..
.
.
Kyo mit jata hai wo dard..
Jab dil se main jalne lagta hoon..
Kyo manzile milti nahi hai..
Jab raah par main chalne lagta hoon.

No comments:

Post a Comment