Friday, June 7, 2013

khamoshi

Teri khamoshi na jane kab tutegi..
Main teri mithi baato ko taras gaya hu..
.
Tu wapas aa ja, dekh main wahi khada hu..
Tere pyar me badal sa baras gaya hu..
.
Tu sayad ab bhi mujhe dil me basye hai..
Main khwab sa tukdo me chitak gaya hu..
.
Kabhi sayad main fir se mil paunga tujhse..
Issi umeed me, main kitna badal gaya hu..
.
Bhar aati hai miri aankhe tujhe yaad karke..
Main pathar-dil, aansuon me dhal gaya hu..
.
Main pathar-dil, aansuon me dhal gaya hu.

No comments:

Post a Comment