Tuesday, October 4, 2011

Bachpan ka jmana





















Bachpan ka jmana 
hota tha,khusiyo ka khazana hota 


tha,Chahat chand ko pane ki,Dil Titli ka diwana hota 


tha.khabar na thi kuch subah ki,Na sham ka thikana 


hota tha.Thak -haar ke aana school se ,pr khelne bhi 


jana hota tha.Dadi ki kahani hoti thi ,Pariyo ka fasana 


hota tha. Barish me kagaz ki kasti thi ,Har mausum 


suhana hota tha,Har khel me saathi hote the,Har 


rishta nibhana hota tha,,papa ki wo daante pr 


mummy ka manana hota tha ,Gam ki juban na hoti 


thi,na Zakhmo ka paimana hota tha Rone ki wajah na 


hoti thi, na hasne ka bahana hota tha,,Ab nhi rhi wo 


Zindgi, "JAISA BACHPAN KA ZAMANA HOTA 


THA".......Zamana hota tha,,,,,,,

No comments:

Post a Comment